What is Monitor in Hindi?
%20Monitor.jpg)
Monitor Kya Hota Hai? Monitor ek output device hai jo computer ke processed data ko visual form mein display karta hai. Yeh ek screen hoti hai jo user ko text, images, videos aur graphics dikhane ka kaam karti hai. Monitor ka resolution, size aur display quality directly user experience ko affect karta hai. Monitor ka primary function hota hai visual feedback dena, jaise ki documents dekhna, movies dekhna, aur software tools ka uses karna. Types of Monitors: - Monitors ko unki display technology, size aur use case ke hisaab se alag-alag types mein divide kiya jata hai: 1. CRT (Cathode Ray Tube) Monitor Features : Traditional monitor design. Bulky aur heavy with large back. High-quality color reproduction, but lower resolution compared to modern displays. Use : Purani computing systems. Example : Old televisions aur computer screens. 2. LCD (Liquid Crystal Display) Monitor Features : Slim des...